Nindein meri sapne mere
Aashayein aur aansu mere,
Khoya bachpan aur wo bachpan ke khwaab mere,
Aaj puche dil kayi sawaal mere,
Kya chaha aur kya paya
Kitna socha kitna aage badh paya,
Apni zimmedariyo se muh fera, kismat bhi main fer sakta tha,
Kal-kal karte-karte main yun badh aaya
In sawalon ke jawab dhundhta nikal chala hun shayad kabhi khud ko talash kar saku,
Aur phir khud se in sawalon ke jawab mang saku…
Kahin kisi roj…

No comments:
Post a Comment